Samaajshastra Arvacheen Samajik Vigyan hai. Samaajshastra Samuhon ke vyvhaar athwa manushyon ke madhye antaha kriyaon, Samajik Sambandhon evam prakriyaon ka adhyayan hai, jinke dwara manav-samuh ki gatividhiyan sanchalit hoti hain. Samajshastra ka udyay us samay hua jab yeh mehsoos kiya gaya ki manav-gyan ki anye shakhayein manushye ke samajik vyavhaar ka purna chitra prastut nahin kartin. Yeh pustak vishwavidyalay evam anye pratiyogatmak parikshanon ke vidyarthiyon ke liye labhdayak hogi. Iss pustak mein Samaajshastra ki moolbhoot avdharnaon ka vivechan kiya gaya hai, jinhein parikshaon ke nirdharit pathyekramon mein samanyata sammilit kiya gaya jata hai. Samaajshastra ke prarambhik gyan mein ruchi rakhne wale bhe iss pustak ko upyogi payenge.
Key Features * Pustak ke ant mein prashnouttar * Samajshastra ki sabhi moolbhoot avdharnaon ka vivechan * Parikshaon ke nirdharit pathyekramon mein samanyata sammilit * Saral bhasha shaili